Tazkira e Huzur Mufti Taqaddus Ali Khan (Peer jo Goth)

  • By: Mufti Asif Abdullah Qadri

Hazrat Maulana Mufti Taqaddus Ali Khan Rahmatullah Elaihi

Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Ki Wilaadat Rabi Ul Awwal 1325 Hijri (August 1907 A.D.) Me Bareilly Me Hui.Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Ke Waalid Ka Naam Alhaaj Sardaar Wali Khan Bin Maulana Haadi Ali Khan Hai.Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Waalid Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Bareilwi Rahmatullahi Alaihi Ke Chachazaad Bhai The.Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Ki Naani Aala Hazrat Ki Zauja Ki Bahen Thi.5 Saal Ki Umr Me Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Ne Quran Majeed Ki Taleem Mukammal Ki.1332 Hijri (1914 A.D.) Me Aap 7 Saal Ki Umr Me Aala Hazrat Ke Mureed Hue.Aap Ne Ibtidaai Taleem Maulana Khaleel-Ur-Rahman Bihari, Maulana Zaheer-Ul-Hasan Mujaddidi Faarooqi Aur Unke Saahabzaade Maulana Noor-Ul-Hasan Rampuri Se Haasil Ki.Aap Ne Hazrat Maulana Hasanain Raza Khan Rahmatullahi Alaihi Se Dars-E-Nizami Ki Taleem Haasil Ki.Hazrat Maulana Rahame Ilahi, Hazrat Maulana Abdul Mannaan, Hazrat Maulana Abdul Azeez Mohaddees Bareilwi, Aur Hazrat Sadrush-Shariah Mufti Amjad Ali Azmi Rahmatullahi Alaihi Se Taleem Haasil Ki.Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Ne Hazrat Hujjat-Ul-Islam Maulana Muhammad Hamid Raza Khan Rahmatullahi Alaihi Se Majeed Taleem Haasil Ki.1345 Hijri (1926 A.D.) Me Aap Ne Daar-Ul-Uloom Manzar-E-Islam Se Sanad-E-Faraaghat Haasil Ki.Phir Aala Hazrat Se "Sharh Jaami" Ka Khutba Padha.Dauraane Taleem Hi Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Daar-Ul-Uloom Manzar-E-Islam Ke Naa’ib Mohtamim Muqarrar Hue.Faraaghat Ke Baad Daar-Ul-Uloom Manzar-E-Islam Me Dars Wa Tadrees Shuru Ki.NnHazrat Hujjat-Ul-Islam Rahmatullahi Alaihi Ke Baad Daar-Ul-Uloom Manzar-E-Islam Ke Mohtamim Muqarrar Hue.Taqseeme Mulk Ke Baad 1951 A.D. Me Aap Karachi Tashreef Laaye.1371 Hijri (1952 A.D.) Me Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Peer Jo Goth Tashreef Laaye Aur Daar-Ul-Uloom Jamiah Rashidiyah Me Dars Wa Tadrees Shuru Ki.Tehreek-E-Khatm-E-Nabuwwat Me Bhi Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Shaamil Hue.Muradabad Sunni Conference Me Bhi Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Ne Shirkat Ki.Aap Ne Hazrat Imam Muhammad Al-Ghazaali Rahmatullahi Alaihi Ki Kitaab "Mukaashfatul Quloob" Ka Tarjuma Kiya Hai.Mufti Taqaddus Ali Khan Razawi Rahmatullahi Alaihi Ke Mashhoor Shaagird